top of page
Search

Abida Parveen...

  • Writer: kashan khan
    kashan khan
  • Aug 2, 2017
  • 11 min read

Abida perveen

Sofiana kalam (Sofi Song) ko apni purgadas awaz aur gayaqi mein wajdani rang denay wali Abida Parveen nay aik asay mahool mein janam liya jahaan sur, Taal' aur Lah nay unka khair maqdam kia. Abida Perveen 20 April 1954 ko Larkana Pakistan mein peida hoyein. Abida Perveen kay walid ustaad Ghulam Haider Khan gawaye thay aur apnay qayem karda mosiqi kay School mein tarbiyat dia kartay thay. Bachpan mein walid sahab jo kuch bhi gatay Abida Parveen ko woh sab kuch rayazat kay beghar hi yaad hojaya karta Abida Parveen kay walid ko buzurgan deen kay kalam say Ishq ki hud tak lagao tha. Kehtay hain kay jab qudrat apnay kisi banday say koye makshos qisim ka kaam lana chati hai to woh iss kay lia aik khas mauhol bhi muhaya karti hai aur aisa hi howa. Qudrat nay Abida ko sachchaye ke peghaam ko awam kay dillo tak pahchanay ka moka dia. Waqt guzarta gaya aur unki awaz sofiana kalam ki hissa banti gaye inhoon nay sofi buzurghon kay kalam ko jis tarah apni roh mein samo kar gaya iss ki misaal nahi milti, Yahi waja hai kay dunya ye mosiqi mein jab jab sofiyaana kalam ka zikar kia jata hai to Abida Parveen ka naam ka sitara alag chamakta dekhaye dayta hai. Abida Parveen apnay sunay walon ko aik anjani duniya mein lagati hain, aik aisi duniya mein jo inhain unkay Allah say mila deti hai aur duniya say unka rishta toor deti hai. Yahi waja hai kay duniya kay har mazhab say taluk rakhnay walay tasoof kay rang mein rang jatay hain aur inpar aik wajdani si kafiyat tari hojati hai aur woh buzurghanay deen kay kalam say Allah Taa’la ka faiz patay hain. Abida Perveen ka ye interview sofi ism, tosoof aur rohaniyat kay gird ghoomta hai, issay par kar yoon lagay ga kay lagan chachi ho to banda apnay haqiqi Allah say zaroor ja milta hai. Question:Moshiqi kay hawalay say Abida Perveen kay walid Abida ko walid kay alawa tarbiyat kahan say mili? Answer: Abida Perveen nay kaha walid sahab kay ilawa pori kayenat hi sheekhnay ki hai. Lakin ibtada mein meray halqay mein jo log rahay in mein radio Pakistan kay bohot barday naam Shakh Sahab aur Hazrat Allal Bukhs Bukhari Jaisi Bemisal Hastiyaan, muqsad radio par baqayeda aik group tha wahan mujhay aik bachay ki tarah chalna shikhaya gaya. Tarbiyat ki ye sab batain kitabon mein nahi miltein balkay sina ba sina chalti hain aur woh log yaqeenan aik adaray ki hasiyat rakhtay thay aur phir galtiyoon say insaan bahot kuch sikhta hai. Keon kay yahi hota aaya hai kay jaisay jaisay hum gatay rehtay hain recode mein bhi galtiyaan hoti hain. Tabiyat chati hai kay zindagi agar waqt day to inhain dobara recode karwayain aur woh ghaltiyaan door hojayain. Aaj bhi mosiqi kay hawalay say ziada jankari rakhnay walay baray loggon say milnay ki khwahis karti hoon aur mazeed shikh nay ki kosihs karti rehti hoon. Question: App ki nigah mein mosiki kia hai aur tawso say mosiqi ka kia rishta hai? Abida Perveen : Mein samjhti hoon kay moshiqi kay sur Allah Taa’la nay khusoson arfana kalam kay lia bhajay hain, jinka rasta Allah ki taraf jata hai. Dar asal mosiki wahi hai jiska faiz chaye ki taraf yani Khuda ki taraf ho aur moshiqi kay suron ko wahi samaj kar ga sakta hai jo dard ki kehfiyat mehsoos karay. Jab tak kalam kay maqsad ko apnay wajood mein utara nahi jaye ga dard peyda nahi hoga. Tasoof ka maqsad yahi hai kay app dard say jur jayaan, Khud say jur jayaan. Question: Sofia akram kay kalam mein rohaniyat ka amal dakhal hai, iss baray mein app ka nukhta-e- nazar kia kehta hai.? Abida Parveen nay kaha mein samajhti hoon kay jasay zameen kay korray ko paharoon nay roka howa hai bilkul issi tarah alama insaniyat ko Aulia Allah samhalay howay hain jo kay khuda kay khas log hain, jo khuda kay sathi hain, jo aam logon kay dukh uthatay hain aur un logon ko pata tak nahi chalta. Aulia Akram kay moqaam kay hawalay say mein app ko batana chahoon gi kay Hazrat Maulana Room (RA) nay jab aik raat apnay murshid Shams Tabraze (RA) kay saath guzari thi to iss hawalay say unhon nay likha kay "aik Zamana sohbat ba aulia" Iss ka mafhom ye hai kay aulia Allah kay sath gozari hoye aik ghari Allah Pak ki aik iabadat say behtar hai kiyoon kay aulia karam Allah kay qareeb hotay hain aur khuda kay banday alag hi nazar atay hain aur sofia akram kay kalam mein khuda ka rang racha basa hota hai issi liye rohaniyat samaye hoye nazar aati hai. Question : Mehfilon mein gatay hoye Abida Perveen par aik maqsoos qisim ki wajdani kefiyat tari hojati hai iss hawalay say app kia kehti hein? Abida Parveen: Mein samajhti hon kay kehfiyat iss suchachaye ka naam hai jo app ko apnay Allah say jord kay rakhay, meri nazar mein wahi abadat hai kay jis mein banda khud ko bhol jaye, issay kisi cheez ka kheyal na rahay. Hazrat Maulana Room (R.A) ka aik doha hai jo mughay iss waqt yaad araha hai. Iss ka maqsad ye hai kay “Bansri apni shuroon say ye sikayat kar rahi hai kay mujhay meray asal say juda kiyoon kardia” kiyoon kay bansri aik darakhat say tor kar banaye jati hai aur Hazarat Molana Room (R.A) nay asal mein hamaray lia aik mushahida beyaan kia gaya hai kay jo iss duniya mein ghir jata hai woh parashan rehta hai aur jo khud ko sachaye say jor day woh phir parashani kis baat ki? aur ye bardi gheraye ki baat hai. Ye buzurgan e deen ka pegham hai jo yakeenan hamaray liye sahi rastay ka tayaun karta hai, suchchaye kay rastay ka tayaun karta hai. Hazrat Maulana Room (R.A) ki dagha shareef ki maqsoos qisim ki bashri bajti hai aur rakhs bhi hota hai, kiyoon kay Hazrat Maulana Room (R.A) jab Hazrat Shams Tabrez (R.A) kay mureed ho gaye thay. aur wali ullah darwesh ho gaye thay to iss waqt woh raqs bhi kiya kartay thay. Question: App sunnay arfana kalam aur app ki awaz say rohani safar par chal nikal tay hain, app iss baat say kis hud tak itmenan mehsoos karti hain ? :Abida Perveen : ka jawab ye tha mujhay youn mehsoos hota hai kay khuda nay mujhay logon mein apna faiz batnay kay lia bheja hai aur khuda ka faiz jab jari hota hai to woh sab kay lia hota hai, iss kay apnay liye nahi hota khun kay khuda skhi hai, sub kio banta rehta hai. Pir aik mehfil sajti hai to iss mein lakhoun loge Allah Faiz say mustafed honay atain hain to agar insay do log bhi Allah kay peghaam ko samajh lain to iss say bardi baat kiya hogi. Asal mein khuda jab roh mein bass jata hai to dard pehda hota hai khun kay woh khud hi dard peda karta hai . Issi lia awaaz jisim , roh , dil, dimagh ye sab aik hi ro mein behnay lagtay hain pooray wajod par tari honay wali wajdani kefiyat. Question: Radio Pakistan ka Abida Perveen ka pehlya kalam kon sa record howa, Aap nay abtadai dor kay baray mein hummay batayain kay app ibtayda say intayha tak pohuch kar kia sochti hain? Abida Parveen: ka kehna tha kay pehlay kalam radio Pakistan Hydrabad say “Yar Sajan” record howa jo kay Hazrat Shah Abdul latif Bhittai (R.A) ka tha, app nay ibtaydai dorkay bara may pocha hai to mein sammajti hon kay ishq sari keyfiat mein uncha darja rakta hai woh aik qata hai . Ishq ki ibtayda bhi tou husn ki intayha bhi to rayhnay daraz khol gaya banda bhi to khuda bhi to. tou ishq ki ibtayda hi chalti hai .jisdor ki bhi ap bat karay woh ibtayda hi lagta hai kun kay woh banda to na mokammal hai aur apnay app ko mokammal kar nay ki zindagi bhar mokammal karnay ki koshish karta hai. kiyoon kay mokammal zat to sirf khuda ki hai aur justojo zidagi hai kiyoon kay woh apnay app kay liye hi tarap raha hai aur apnay app ko hi dhond raha hai.

Question: Pakistan Television say Abida Perveen ka pehla programme kon sa tha, kon sa kalam tha jis nay mulk gir shohrat hasil ki?

Answer: Hai koi 20, 25 saal pehlay ki baat hai programme ka naam ‘Awaz-o-andaz jisay karachi television kay Sultana Siddiqi nay produce kia tha iss zamanay mein app ko yaad hoga kay buzrogana-e-din ka kalam illakai samjha jata tha aur national hi kup par sidhi siraiki nahi chaltay thay awaz-o- andaz aik ghatak ka programme tha jis mein 2 say 4 gazalain aur 1 say 2 buzurgan-e-din kay kalam shamil hotay thay issi programme kay liay mein nay “Mahi yaad gharoli bhardi ”gaya tha jis nay baad mein baynul aqwami shohrat hasil ki iss mein, mein nay shah Abdul Latif Bhitai, Baba Bulleh Shah, khawaja Farid kay kalam gaye thay.

Abida Parveen kehti hein mein samajhti hon kay ye buzurgan-e-deen ki tehreek thi jis ki waja say Pakistan mein pehli martaba sufiyana kalam national hik upper aana shoro howay ab app tou pori duninya mein tasof ki gaiki aur kalam bohot ziyada mashor horahay hai .

Question: App ka pehlay audio cassette kis company nay record kia?

Abida Parveen : Mayra pehla audio cassette EMI say record howa ab ye band hogai hai. Iss kay baad 4 cassetton ki aik sirris bhi inhon nay nikali jis mein shah Abdul Latif Bhita, Baba Bullay shah, khowaja farid aur Hazrat Mian Muhammad Bakhsh kay kalam ko alag alag record kia tha. Iss kay baad Mir Mehar Ali Shah kay kalam par mabni cassette bhi EMI nay nikala tha hum bhi idea inhay daytay thay woh recording kar daytay thay.

Question: Resala Ganj Bakhsh Sharif aur app nay jo Shah Abdul Latif Bhitai kay resalay kay hawalay say jo kam kia, iss ka response kaysa raha?

Abida Parveen: Resala Ganj Sharif ka market mein ana mojaza say kam nai hai aur mein nay Shah ka resala kia, iss hawalay say catcher department ki janib say Hamid Akhond bohot sar garm rahay. Iss ki 11 cassette hain aur kafi baad adarow say na sirf Pakistan mein balkay bahir mulk mein jaha bhi gaya iss hawalay say hamay acha respons mila aur such pocho to tasof kay demand nay pori duniya ko apnay kabzay mein kia howa hai. Dar asal darweshon kay kalam aur mosiqi mein iss kadar qaual hai jisay mosiqi ki koi bhi sanf pur nahi karsakt.

Question: Abida Perveen kay khayal mein Abida Perven kay kon say kalam awam mein ziada maqbol howay aur waqt gozarnay kay sath bhi ab tak maqbol ja rahay hain?

Abida Perveen : Sab say pehalay to “Mahi yaad gharoli bharday ” iss kay alawa kafi kalam hai jin mein “Char kharda saiyan da” “mayda ishiq wi toun”teray ishiq nashaya karkay thiya thiya’ kay ilawa urdu mein “jab say tou nay diwana bana rakha hai ” aur “array logo thumhara kia mein janou mera khuda janay” shamil hai jo kaay aj bhi logg sunna chahtay hai .

Question: Pakistan ki nomaindigi karnay kay doran ap ki yadasht mein koi aysi mayhfil jonaqabilay faramosh rahi hoo? Answer: hm tou rab ki yaad say joray rahtay hai ,iss ki yaad mein rahtay hai ,jab mehfil mein jatay hai tou bhi khoda kay samnay jakar bayth jatay hai pori dounya mein tosof ki ghaiki aur kalam mashor hai new york kay ayk pak mein munaqada mehfil mein ayk lakh kay karib loog mojod thay jab menay kalam shorow kia aur sama sa ban gaya. waha ye alaam tha kay loog madhosh ho kar log girrahay thay wahi ki police ka nizam bohot sakht hota hai tou police inhay utha kar hospital lay jarahi thi tou woh loog in police walo say larnay lagay kay hm tou ayk angani ,andaykhi dounya mein pohoch gay thay ,aap humay iss duniya say khun nikalna chahatay hai iss mehfil ka zikar waha kay akhbarat mein bohot chappa khas tor par New yourk times nay likha iss mehfil mein ,mein nay daykha kay khoda ki raydiaction barkat wali ghardian kis tarha say logoon par asar andas hoti hai jab hum mora ko gaay thay jahan tasof ka kalam hi suna jata hai, France aur Holand gaye thay waha ayaat bhi pharhin India mein “jahaay khusro ” howa tha jahan khoshnak latifay aay thay Pakistan say hm gaay thay , iran say bhi loog aay thay iss mehfil mein bhi kalam ka bhandar langar tha mahol aysa ajib tha aur ayk silsila bandgaya tha.

Question: Ap kay gaay hoay kalam par naay anay walay tajarbat kar rahay hai ,ap iss ko kis tarha lati hai ?

Abida Perveen :Aysa horaha hai kay ab jobhi group gana shorow kartay hain wohh sofi kalam say hi shorow kartay hai aur mujhay rohani khoshi hoti hai kay loog sofi kalam par naay tajarbat karrahay hai, kam say kam ibtayda to tasof say karahay hai. assal mein khof bhi hota hai kay bozurganaydin kay kalam ko fast music kay sath tajarbati ndas mein gaya jaay tou ye ho jaayga, woh hojaay ga laykin sachai apni jaga kaim dain rahti hai aur sachai ko koi hila nai sakta. koun kay tasf ka andas bohot takat war hai. bhayral aggar ap naay kalam ki noyat aur kalam ki kowat kay sath miltay joltay saz istamal nahi kiye tou kalam ka paygham pori tarha say roh tak nahi phocha saktay daykhna parta hai kay saz kis ko up grate kar rahay hai yani iss maygam kay sath saz charahay hai ya nahi . buzrganaydin nay shairi nahi ki balay khoda thala nay kalam jis tarha say unkay qalb mein uttara hai inhonay wesay hi kisi radobadal kay baghayr lik dia tou yaqinan wohh moqadas hai, iss ka ahtram zarori hai tabhi iss kalam kay radiation say loog mast ho paayn gay asal mein sochna ye hai kay mein apnay rastay say hat tou nahai raha, mein sachai say tou hat nahi raha, kahi ye saz meray maygam ko kamzor tou nahi kardayn gay kun kay do chizay milrahi hai nafs bhi aur rohaniat bhi chalrahi hai aur dono chizay ayk dosray kay baraks hain iss liay sahi rastay ka intaykhab bohot zarori hai.

Question:“Hazat molana room”par Landon mein jo film banai gai hai iss baray mein kuch bataingi?

Abida Parveen: Hazrat molana room” par jo fil banai gai hai iss mein angrayzon nay kam kia hai iss film mein mwri awaz gai ye meray liay bohot sadat ki bat hai aur ye bohot bardi tabdili bhi hai kay pori duniya buzrganaydin ki taraf raghib horahi hai aap computer par search kar kay daykh sakti hain kay hazrat molana room kis tarha say logon kay dilon par chaay howay hai ye buzrganaydin ka khoda say ishq hi hai jologon ko tarpa jata hai.

Question: Abida Perveen kay bachon ko moshiqi say kis had tak lagao haai ,agar woh mosiqi kay shobo ki taraf aayn tou ap ka raday ammal kai hoga?

Answer: Meray bacho ka rojhan art ki taraf hai mayray baytay saring ki awaz mein lay hai woh 3,4 sal ki umar say raqs bhi karta hai aur woh meray kalam ad bhi karlayta hai shayad ghar kay mahol ka assar hai jab wa 5 sal ka tha tou iss nay bohot acha raqs kia jis par issay inam mila issay ganay ka shoq hai aur mein samajhti ho kay issay gana chahiay meri bayti painter hai,taswiray banati hai angon say khayti rhayti hai menay apnay bacho par kabhi dabao nahi dala aur in mein jo salhaiyat hai inhayn iss mein agay barhna chahiay.

Aik andazay kay motabik arfana kalam par abida parveen ki 100 say zaid casitain market mein achoki hai inn kay fankarana salahiyaton kay aytraf mein inhay mulki satha par sadarti aywad,sitara imtayaz jab kay baynolakwami satha par bhi ingenat aywad say nawaza ja choka hai. chanbaras phaylay tak ap aur hm inhay India kay marof chanales par mosiqi kay progammo mein jaj ki hasiat say shrik hotay aur Pakistan ki nomaindagi kartay dayktay rahay kun kay abida parveen India aur Pakistan kay bahimi talokat kay bhali kay khowab apni ankho mein sajati hain.28 november 2010ko bimar honay kay bad say woh hamay media par nazar nahi arahi hai. lakin inhay chahanay walay aj bhi “mein nara mastana”jaysi kafia son kar mast ho jatay hai aur inhay kok stydiou jasay programmemon mein daykhna aur sonna chatay hai.iaye dua karay kay ,Allah tabarak –o-tala Abida Parveen ko mokammal sahatyabi ata farmaye.Ammin


 
 
 

Recent Posts

See All

Commenti


Featured Review
Check back soon
Once posts are published, you’ll see them here.
Tag Cloud
  • whatsapp
  • Facebook
  • Twitter
  • Instagram
bottom of page